How to use soldering Iron for professionally reapair a mobile

How to use soldering Iron for professionally reapair a mobile

How to use soldering Iron for professionally reapair a mobile

Aj hum sikhenge ke koi mobile phone ko achchhe se repair karne ke liye hume kona soldering iron ka use karna chahiye 

Dosto ye hai ARNInfo.blogspot.com you tech Mobile Repairing, Internet & Sociel, Computer & android Tips & Tricks an others technology information ke bare me. Main jo kuch bhi janta hu jo maine kudh particaly try kiya hai usko hi main is blog me post karta hu aur apko batane tatha sikhane ki kosis karta hu. "Achchhe se samajh ne ke liye har blog ko pura padhe"


Hello friend my name is Azizur Rahaman i am founder of this blog (I am a mobile machanic my experience 2 years)  and today i share you use a Soldering Iron for professionally reapair a mobile. Mere kehne ka matlab ye hai ke kisi mobile ko achhe trah se repair karne ke liye konsa soldering iron use kare. 



(Dosto agar meri english me likhi gayi sentence me kuch galtiya ho to maf kijiyega kiyn ke main english me thora sa kachcha hu isiliye thora ek do line (Introduction line) english me likh deta hu taki is trah se english me main expert ho jayu bas bahut hua ab main sub me ata hu. To hum konsa soldering iron use kare dosto normaly hum 25 watt ka soldering iron use karte hai. Lekin mere hisab se achchhe trah se mobile ko reapair karne ke liye 50 watt ka soldering iron use karna chahiye. Taki hit jyda ho aur koi bhi chip component ko solder karte hi bari asani se remove kar sake. 

soldering iron agar hit kam hota hai to component ko remove karne me thora sa time lag jata hai. Aur hume thori takat lagana  padta hai aur isse garbar bhi ho jati hai. Jaise component to chhut jata hai sath hi hi sath us component ka layer bhi uth jata hai. Jiske karan us jagah me aur koi component lagaya nahi ja sakta to iske liye jumpering karni padti hai aur jumpering fault dundh ne me bhi time lagta hai isi liye main recomended karunga ke ap jyda hit hone wala (50 watt) soldering iron se hi mobile reapair kare. Aur us soldering iron me thin bit use kare yani ke patla soldering bit use kare . 

Lekin dosto ap bologe ke bhai ap ne to bola ke achchhe se mobile reapair karna hai to jyda hit wala 50 watt ka soldering iron use karo  aur usme patla bit use karo bat to thik hai lekin bhai thin bit se to display remove karne me aur lagane me  paresani hogi aur display layer chhir ja sakta hai. to ap ke man me aisa koi sawal ho to dosto simple sa tarika hai us soldering iron ka jo patla bit hai us bit ko thora sa band kar do "niche picture me dekhe"
How to use soldering Iron for professionally reapair a mobile - 1

How to use soldering Iron for professionally reapair a mobile - 2

Note :- Dosto agar ap mobile repairing ke field me naye ho ya mobile mechanic course kar rahe ho to ap 50 watt ka jyda hit hone wala soldering iron use na kare to hi achchha hain 25 watt ka hi use kare. 

to ab bologe ke bhai pagal to nahi ho abhi 50 watt ka soldering iron use karne ko bola phir 25 watt ka use karne ko bol rahe ho. to dosto main ek bat bata du ke 50 watt ka use karna achha hai lekin begainers ke liye nahi kiyn ke naya ho aur mobile me chip component hai  in chip compnent ko jab ap remove karne jate ho tab apko soldering iron se in ke upar solder karte huye remove karte ho jab ki ap naye ho to apka hath bhi sthir nahi rehta hai kiyn ke partice nahi hai aur dusre component me bhi solder ho jata hai ya koi component ko remove karte time hath sthir nahi rehta hai aur soldering iron dusre component ko bhi touch karta hai. 

Jab kisi component ko remove karte time apka hath sthir nahi rehta aur dusre component ko touch kare in case agar yehi 50 watt ka soldering  use hota to touch hone ke matra hi component remove ho jata aur kam aur bhi bigar jata to isi liye hi main naye bande ko 25 watt soldering iron use karne ko bol raha tha agar 6-7 month ya 1-2 year partice karne ke bad ap apne hath ko robot jaise control kar sakoge robot jaise matlab ap jaha solder kar rahe ap ka hath ohi sthir rahe idhar udhar na hate chae apka hath me hit hi kiyn na lage tab jake ke ap kisi bhi mobile ko repair karne ke liye 50 watt ka soldering iron use kar sakte ho

Thank you all my visitors or readers