Showing posts with label sociel. Show all posts
Showing posts with label sociel. Show all posts
What is Factory Reset Protection (FRP) in hindi

What is Factory Reset Protection (FRP) in hindi

What is Factory  Reset Protection (FRP Lock) ?

Aj hum janenge tatha sikhenge ke FRP yani ke Google account lock kya hai 
What is frp (Factory Reset Protection) / Google account lock in hindi

Dosto ye hai ARNInfo.blogspot.com you tech Mobile Repairing, Internet & Sociel, Computer & android Tips & Tricks an others technology information ke bare me. Main jo kuch bhi janta hu jo maine kudh particaly try kiya hai usko hi main is blog me post karta hu aur apko batane tatha sikhane ki kosis karta hu. "Achchhe se samajh ne ke liye har blog ko pura padhe"

Frp lock ya google account lock kya hai
Dosto frp ka fullform hai (Factory  Reset Protection) Hum frp ko janne se pehle kuch bate jo jaruri hai  o jan lete hai.
Frp lock google account lock

Introduction to Google :- Google ek bari company hai aur ajkal to har koi google ke bare me janta hai. ya ap ye keh sakte hai ke ajkal har admi ka din google se hi suru hota hai.
android google account lock
to google ne hi Android OS (Oparating System) ka nirman kiya aur mobile technology ki duniya hi badal di abhi ke jitne bhi mobile companya hai oh sab android os ka hi istemal karte hai. Android os bahut hi lokpriya hai kiyn ke ise  use karna bahut simple (Asan) hota hai. 


Google company
Jab Android os bana uske bad hi google ne ek ke bad ek android verision devlope karta gaya aur security update bhi deta raha. to frp bhi
Android ka ek naya security 
update hai

Ab hum frp ke bare me janenge ye Android devices me ek naya security features hai jisko Google ne Developed kiya hai ye security features Latest Android devices like samsung, htc, sony, honor, gionee etc… me Marshmallow & Nougat and version ke sath rehta  hai. 

frp security lock ka matlab factory reset protection aur factory reset ka matlab mobile ko formatt / hardreset / softwere karna hota hai.  ke jab hum kisi mobile ko koi samasya ke liye hardreset ya softwere karte hai to oh mobile me frp lock yani ke google account lock lag jata hai. hardreset karne ke bad jo setup complete  karna hota hai frp ke karan oh setup complete nahi ho pata. tab hume is frp / google account lock ko unlock karne ke liye device me device owner ka gmail id or password se sign in karna padta hai.

device owner ka gmail id or password matlab oh gmail id jo mobile ko hardreset / softwere karne se pehle device me sign in tha

frp security ka faida :- frp security ka faida ye hai ke agar apka mobile kho jaye ya chori ho jaye to koi aur apka mobile ko hardreset / softwere karne ke bad bhi use nahi kar payega

frp security ka nuksan :- frp security ka nuksan ye hai ke agar ap kisi karan se apke mobile ko hardreset / softwere karte hai to apko bahut paresani hoti hai

Note :- Dosto ap jab market se naya mobile kharid ke usme (mobile me auto sync on rakhiyega) google, facebook aur har trah ka soicel account banate hai ya old account ko us device me sign in kardete ho to dosto ek bat yad rakhiye ga ke sabse pehle jo google account ke sath ap apne device ko sign in karte hai us ka id aur password yad rakhiyega kiyn ke jab ap kabhi bhi mobile ko kisi samasya ke liye hardreset krenge aur setup complete karenge tab apko is google account ki id aur password ka jarurat parega


 Thank you for read this articale 
Dosto ye articale agar apko achha laga ho to like or share jarur kijiye and is trah ke aur bhi articale ap read karna chahte hai to is blog ko subscribe / follow kare 

Others Link
How to hard reset any samsung mobile in hindi
Samsung z2 hardreset in hindi
Oppo a37 hardreset in hindi with picture just 2 minute
Mi 2014818 (Redmi 2) hardreset in hindi
Karbonn k9 microphone solution in hindi step by step with picture
Android mobile me recovery mode & hardreset kya hota hai
Zen X5 mobile ki microphone samandhit fault finding
How to use soldering Iron for professionally reapair a mobile