What is Recovery mode & Hardreset in android ! android mobile recovery mode kya hai

What is Recovery mode & Hardreset in android ! android me recovery mode kya hai

Aj hum sikhenge ke Recover mode aur hard reset kya hai kaise recovery mode jaye aur kaise hard reset kare 

Dosto ye hai ARNInfo.blogspot.com you tech here  Mobile Repairing, Interne & Sociel, Computer & android Tips & Tricks an others technology information ke bare me bataunga main jo kuch bhi janta hu main jo partical kiya hai ohi main is blog me post karta hu.

Hello friends mera name Azizur Rahaman hai aj mai ap logo ko batane wala hu
What is Recovery mode & Hardreset in android  ! android mobile recovery mode kya hai uska use kisliye kaise kiya jata hai.
Android Recover mode
Dosto Recovery mode ek jariya hai android mobile ka ya ap ye keh sakte hai ke ek rasta / tarika hai chota mota kam karne ya koi Samasya ko solve karne ka. Jaise mobile me koi Apps Insttal nahi hona,Camera Eror, mobile Data chalu nahi hona, mobile Hang hojane se slow work karna, mobile me Screen lock Pattren / Password bhul jana,Coustom Rom/stock Rom install karna,mobile ko flash karna, mobile ko reset (Format / Hardreset) karna etc. Dosto mobile me istrah ka samasya aye to hum sabse pehle recovery mode me jake mobile ki cache file ko delete kar dete hai jisko hum mobile hardreset / formatt bolte hai.  Recovery Mode Ka Use- 1. Mobile ki harddrive me koi samasya aye jaise apka  mobile harddrive(Internal storage) 8gb/16gb ka hai aur ap usme 1/2 film ya 2/4 film rakhe hai YA gana videos sab kuch mila kar 2gb download ya 4gb download kiye hai to itne me apka hdd full ho gaya hai tab Recovery mode me jake partition ko clear kardete hai isse hdd format ho jata hai aur hdd ka samasya solve hojata hai. 2.Ya mobile data on na ho aur Inernet chalu na ho to hum Recovery mode me jake Cache file  ko delete kar dete hai. 3. Ya mobile me kisi trah ka Password chahe wo Pin ho ya Pattren bhul jate hai to recovery mode me jake cache file ko delete kardete hai. 4. To in upar likha gaya sabhi karano/samsya ko solve karne ke liye sabse pehle hum mobile ki Recovery mode me jake cahe file ko delete/wipe karte hain yani ke hardreset karte hai(Cahe file ko delete karna hi Hardreset ya formatt/Reset karna kehlata hai )

Note:- Dosto upar likha gaya sabhi karano/samasyao ke liye hum ya koi bhi machanic sabse pehle Recovery mode ke jariye Hardreset karke dekhta hai. Sahi ho gaya to thik hai nahi to uske bad stock rom se flash karta hai . iske bad bhi sahi na hoto ye Hardwere samandhit foult ho ta hai to hame hardwere yani ke mobile ke motherboard ko check karna hota hai ke foult kaha se hai Dosto agar ap Mobile Reapairing fild me naye hai to ap ko samajh nahi ayega ke actualy  foult kaha se hota hai aur apko aa sara tarika jo maine in Artical me Writing kiya hai isko flow karna padta hai. Lekin jo 2/4 years se kam kar rahe hai unko expreanc ho jata hai aur sidha karan dekh kar hi samajh jata hai ke foult Hardwere ki hai. Kuch karan jo maine khud hi apna expreance se sikha hai Camera Eror aaye to Softwere ki samasya hai hardreset/flash karne se Camera Eror ka samasya solve ho jata hai. Agar Camera Opened faild aaye to Ye Hardwere ki samasya hai iske liye apko mobile khol ke camera ko kholiye aur camera layer ko rul(pencil) color ko mitane wala robat se ghisiye aur camera connector ko cleaner se clean kare to solve ho jata hai (in case me camera releted components kharab hone ki wajah se bhi ye foult ata hai) Data on na hoto ye Settings/Softwere ka foult hota hai iske liye hum setting me jake data ko Roaming karlete hai aur APN setting(Access Point name ) me jake Restore to defoult kar dete hai to ye samasya solve ho jata hai aur nahi to mobile ko hardreset / Flash (Softwere) karte hai Password bhul jaye to hardreset karne se solve hojata hai Mobile hang hota hai to ye apke internal storage full hojata hai iske liye hota hai iske liye coustomer ko suggest kare ke o sirf main apps jo unka kam ata hai unko hi install rakhe baki faltu apps ko uninsttal karde nahi to jyda ram aur hdd wala/behtar proccesor ke sath ek mobile le le. Aur dhyan de ke apke mobile me jyda use hone wale application Facebook, Xender, Mxplayer, Whatsap, jaise aur application ki size badhti application ki cache file o ki karan badti jati hai to inke liye app manager me jake in sabhi apps ki cache ko clear kare & nahi to sidha hardreset ya Flash kare solve ho jayega



Android Recover mode
"Jarur Padhe"What is cache file cache file kya hai Cache file ka matlab mobile me hum jab koi settings changes karte hai. Jaise naya mobile kharid ne ke bad mobile ki default setting hume achhi nahi lagti hai to hum apne hisab se wallpear,password,brightnes,lock time,aur others settings ko change kar dete hai tabh mobile os in sabhi settings ko cachefile me save karleta hai aur hum jab oh cache file ko Recovery mode ke jariye delete kar dete hai to changes kiya gaya sara settings Remove ho jata hai aur Mobile ki sade appluication bhi delete ho jata hai. phir mobile defoult settings yani ke pehle jaise me yani ke naya phone jaise settings me ajata hai.

Recovery mode me kaise jaye kisi bhi phone me
Android Recover key
Android Recover mode

Recovery mode me jane ke liye Hum volume up,down key aur power key ko hold karke recovery mode me ja sakte hai yeh tarika bibhinna mobile me bibhinna tarah ka hota hain jaise koi mobile me Volume up+Power dono key ko ek sath 7-8 sec press karke rakhne se ajata hai.Ya koi mobile me Volume UP+Home+Power in sabhi key ek sath 7-8 sec press karke rakhne se recovery mode ajata hai.Ya koi mobile me Volume UP+Home+Power in sabhi key ko 4-5 sec press karne ke bad power key ko chhor de aur Volume UP+Home key press karke hi  rakhiye.Ya koi mobile me Volume UP+Home+Power in sabhi key ko 4-5 sec press karne ke bad Volume UP+Home key in dono key ko chhor dena hai aur Power key press karke hi rakhna hai to recovery mode ajata hai ya kisi kisi mobile Volume Down+Power key ko press karke rakhne se recovery mode ajata hai  to dosto istrah se ap ko har step flow karna hai phir chahe koi bhi mobile ho ap recovery mode me ja saktehai  to try it now for any android mobile for go to the recovery mode 
Thank You for read this artical




SHARE THIS

Author:

Previous Post
Next Post