Flash android device without box in hindi
Aj hum janenge tatha sikhenge ke kisi bhi android mobile ko kistrah flash (format / softwere / rom download ) karte hai oh bhhi bina kisi box use kiye
Dosto ye hai ARNInfo.blogspot.com you tech Mobile Repairing, Internet & Sociel, Computer & android Tips & Tricks an others technology information ke bare me. Main jo kuch bhi janta hu jo maine kudh particaly try kiya hai usko hi main is blog me post karta hu aur apko batane tatha sikhane ki kosis karta hu. "Achchhe se samajh ne ke liye har blog ko pura padhe"Hello friends my name is Azizur Rahaman. I am founder of this blog. So aj main aplogo ko batane tatha sikhane wala hu ke kisi bhi android mobile ko kistrah flash karte hai bina kisi box use kiye. yani ki ab hum bina kisi box ke hi mobile ko flash kar sakte hai jise village language me softwere dalna kehte hai.
Some Information on technology :- Technology ne ab itni tarakki kar li hai ke sab kuch ab advance hota ja raha hai har koi technology par hi ummid rakhta hai aur dheere dheere har cheez technology ke jariye aur bhi behtar aur subhida janak ho raha hai yani ki hum sidha basha me kahe to duniya ab digital hai. aur in sabhi ko behtar aur subhidha janak aur duniya digital hone ka ek hi karan hai INTERNET
To pehle hum mobile ko flash karne ke liye market se alag alag company ke mobile ke liye ya alag alag cpu ke hisab flash / softwere box kharid te the jiske liye hume har ek box ke 5k se 12k tak dena padta tha. Lekin ab hume box kharid ne ki jarurat nahi hai ye to nahi keh sakte hai kiyn ke box se flash karna thora asan hota hai. Lekin tools use karke flash karne se thora dimag aur time ki jarurat padti hai hume ye dhundna padta hai ke konsa mobile ke liye konsa tools use kiya jaye and konsa mobile me konse company ka cpu hai uske hisab se driver choose karna etc
Lekin agar ap pehle pehle tools ke jariye mobile flash kar rahe hai to thora paresani hogi jaise tools dhundna driver dhundna stock rom dhundha etc. And agar sab kuch dhund kar flash karne jaoge aur flash nahi hua to hosla tut jata hai internet me tools rom file dhunda muskil ho jata hai ap ko jyda pata nahi hota hai ke konse tools konsa kam ayega tools kam karega ya nahi ye galat tool hai ye sahi tools hai apko samajh nahi ayega lekin dheere dheere jab ap practice karte hai to sabh asan hone lagta hai. Jaise kabhi tool download kiya rom sahi driver sahi hai phir bhi mobile flash nahi hota hai to ye bhi ek practice hi hai ke ap ye to samajh paye ke ap galat tools use kar rahe the ya ap jisbhi website se rom, tools, ya driver download kar rahe hai oh sab bekar hai yani ki duplicate site hai fake hai to ap us site ko chhor ke dusra koi site se download karte hai etc. is trah practice karte karte jab adat par jati hai to koi paresani nahi aur ye sare tools driver rom and etc etc sare tools internet me hi available hai.
Tools ke jariye android mobile Flash
Tools ke jariye mobile ko flash karne ke liye 4 chizo ki jarurat padti hai ek USB Cable, Stock rom, Flashing tools, driver
Tools ke jariye mobile flashing two typse hote hai 1. Mobile Based , 2. CPU Based ,
1. Mobile Based :- Aisa tools jo ki mobile ki company anusar banayi jati hai matlab ki jo mobile me koi bhi company ka CPU ho ( jaise mtk, spd, snpdrgn, arm, exynox, intel, amd etc etc ) Flash ek hi tools se hogi.
Exampale:- Odin Tools yeh samsung mobile ki flasing tools hai chahe koi bhi samsung mobile ho is tools ke jariye flash hogi
2. CPU Based :- Aisa tools jo ki CPU ke adhar par bani hoti hai yani mobile ki CPU ko tools support karta hai to koi bhi mobile ho flash kiya ja sakta hai and tools ke sath cpu match na ho to flash nahi kar sakte hai
Exampale:- SP Flash tool jo mobile me mtk cpu hai oh ye tool se flash hota hai
SPD download jo mobile me SPD cpu hai usko ye tool se flash kiya jata hai
Note :- manlijiye ke karbonn ka 2 mobile hai first me mtk and 2nd me spd cpu hai to ap agar dono phone ko hi agar sp tool se flash karna chahe to nahi hoga kiyn ke inme cpu alag alag company ka hai. And manlijiye ke 2 mobile hai ek Karbonn aur Intex 2 mobile me hi mtk ka cpu hai to dono hi phone sp tool se flash hoga aur agar ek mtk aur ek me spd to karbonn ko sp tool se aur intex ko spd download tools se flash karna hoga
What is Driver for flash android mobile
Driver ka matlab lag bhag hum sabhi jante hai chalana mobile ko flashing karne ke liye computer me jo driver install karte hai oh driver mobile ko control karta hai chalata hai rom file ko computer se mobile me transfer karta hai aur oh rom install hota hai aur ho gaya mobile flash
Mobile ko Flash karne ke liye Driver 4 typse hote hai USB, ADB, CDC, VCOM ye driver do format me available hai .exe, .inf
driver mobile and cpu dono ke adhar par banayi jati hai ke mobile me koi bhi cpu ho bas ise install karte hi device tools ke sath connect ho jayega is ka exampale hai Samsung And dusra ( cpu ) chahe koi bhi mobile ho agar cpu match karti hai to device tools ke sath connet ho jayega iska exampale hai mtk cpu wala karbonn mobile sp tools aur mtk driver
What is stock rom for flash android mobile
Stock rom ek file hai jo ki alag alag mobile ke hisab se ya cpu ke hisab se alag alag format me avialable hai jaise samsung mobile ke rom ka format hai .md5, .tar.md5, pit Spd cpu wala mobile ka .pac mtk wala ka .scattar and others device ya cpu ka .tar, and etc etc hota hai. Stock rom ko flash file / firmwere file bhi kehte hai. Stock rom me mobile ke Oparating System ki coding hote hai jis stock rom me jaisa coding rahega owaise hi work karega os ke coding mobile ke hardwere anusar kiye jate hai os ke sare coding ko eksath me .md5 ya alag alag extention me convert kiye jate hai aur phir mobile me flash kiye jate hai. stock rom internet me hi milta hai stock rom download karte time ek bat yad rakhiyega ke device and rom ki information match hone chahiye jaise j200G and j200H mobile hai to ap ko j200G flash karna hai aur ap internet se j200H ka flash file use kar rahe hai to ye nahi chalega j200G ka hi file download kijiye ye bhi ho sakta hai ke j200G ek android version 5.0 lolipop and j200G android version marshmallow to yad rakhiyega ke apko j200G lolipop me flash karna hai to us hisab se stock rom download kijiye
How can flash android device
Mobile ko sabse pehle download mode / fastboot mode me laye uske bad mobile ko tools se connect kijiye uske bad Rom / Firmwere file ko tools me load kijiye and start me click kare flahing start ho jayega
Another method :- Firmwere file ko tools me load kijiye uske bad mobile ko switch off karke volume up / volume down press karke mobile ko computer me connect kijiye and automaticaly start flashing
Thank you for read this articale Agar apko ye articale achchha laga ho to aur agar ap mujhse kuch puchna ya kuch janna chahte hai to comment kijiye ya contact from ke jariye contact kijiye aur is blog ko follow kijiye and facebook page ko like kijiye
Others Link
Thanks for naya article
ReplyYeh ek achha articale hai
ReplyThanks for sharing knowledge by this article.
ReplyThe Android users are increasing daily and I hope this recovery tool may help the smartphone users which are suffering from data loss and media files deletion from them.
I would like to recommend you the android data lost users to use Digital Photo Recovery Software to get easily and in just a few steps they will get back their all lost data from LeMax, Realme, Samsung, Blu Dash, Xiaomi, Huawei, ZTE, Lenovo, Motorola, Oppo, OnePlus, and much more mobile phones also.
Nice Info
ReplyAndroid 10 Update Top Features | ( Android Q)
Really excellent article I understand about flash thanks u
Reply