Zen x5 mobile ki microphone samandhit fault finding

Zen x5 mobile ki microphone samandhit fault finding

Zen X5 mobile ki microphone samandhit fault finding

Dosto aj main Zen X5 mobile ki Microphone samandhit Fault Finding bataunga
dosto ek bat dhyan rakhiyega jab ap koi bhi artical read karoge tab achchhi trah se read karo aur samajh ne ki kosish karo aur pura artical ko read karna nahi to achchhi trah se samajh nahi paoge

Dosto ye hai ARNInfo.blogspot.com  you tech here  Mobile Repairing, Interne & Sociel, Computer & android Tips & Tricks an others technology information ke bare me bataunga main jo kuch bhi janta hu main jo partical kiya hai ohi main is blog me post karta hu.

Zen x5 mobile ki microphone solution jumpering-Ap jante hi honge ke mobile me microphone work nahi hota hai to apka awaz ko koi dusra user nahi sun pata hai.Aur ap ye bhi jante hai ke microphone me kiya kiya foult ate hai.(Nahi jante hai to)microphone ka samasya ko achhi trah se samajh ne ke liye ye link ko flow kare Microphone solution in hindi step by step with picture Chaina Mobile microphone soliution in hindi) uske bad hi Zen X5 ka soliution dekhe main is liye flow karne ko bol raha hu kiyn ke koi bhi mobile ka mic se samasya ho to usi trah ka fault ata hai sirf circuite alag hota hai. microphone work na karne ka karn sabhi mobile me ek hi hota hai aur main ek hi bat ko bar bar lekhunga ya copy paste karunga to time weste honga aur ap bhi bar bar ek hi trah ka artical padho ge to bor ho jayoge. to jo naye user hai o uper ke link me jake mic ki puri deatails janle. aur agar mere dusre mic soliution ki blog padhe hai ya kisi aur website se jankari hasil kiya hua hai to apko us link me jane ki jarurat nahi. Zen x5 ki hi soliution continiue kare 

Zen X5 ki microphone work na kare to 
microphone hi jane mic ko kaise thik karna hai 
Dosto Note kijiye ga Kharab hua mic thik nahi kiya ja sakta hai is condition me mic ko change karde ha Lekin dhyan rakhiyeg kahi wire open to nahi hua hai  ya mic atkane wala jagah me dhul to nahi jam gaya hai ye sare condition ko check karne ke bad hi track line ya ic ko check kare  mic soliution ke liye track line check kare


Zen x5 mobile ki microphone jumpering


Note:- Dosto ek bat note kijiye ga ke koi bhi artical ko samajh ne ke liye achhe trahse padhna jaruri hotahai ek bar me samajh na aye to 2/4 jitne bar ho achchha se padhiye uske bad me hi kisi bhi soliution ko partical kijiye agar ap artical ko na padhe bina sidha pic dekhke partical suru karde to sahi kam bhi jyda tar galat ho jata hai isi liye main ap logo ko suggest karta hu ke ap achchhi trah se artical ko padhiye aur step by step har soliution ko check karte jayiye to apka kam sahi hoga aur istrah karte apka expreance itna hoga ke ap ko kisi blog ka artical read nahi karna hoga sabkuch apne ap hi samajh joage so keep this note artical on your mind Thank You all Readers

What is Recovery mode & Hardreset in android  ! android mobile recovery mode kya hai

What is Recovery mode & Hardreset in android ! android mobile recovery mode kya hai

What is Recovery mode & Hardreset in android ! android me recovery mode kya hai

Aj hum sikhenge ke Recover mode aur hard reset kya hai kaise recovery mode jaye aur kaise hard reset kare 

Dosto ye hai ARNInfo.blogspot.com you tech here  Mobile Repairing, Interne & Sociel, Computer & android Tips & Tricks an others technology information ke bare me bataunga main jo kuch bhi janta hu main jo partical kiya hai ohi main is blog me post karta hu.

Hello friends mera name Azizur Rahaman hai aj mai ap logo ko batane wala hu
What is Recovery mode & Hardreset in android  ! android mobile recovery mode kya hai uska use kisliye kaise kiya jata hai.
Android Recover mode
Dosto Recovery mode ek jariya hai android mobile ka ya ap ye keh sakte hai ke ek rasta / tarika hai chota mota kam karne ya koi Samasya ko solve karne ka. Jaise mobile me koi Apps Insttal nahi hona,Camera Eror, mobile Data chalu nahi hona, mobile Hang hojane se slow work karna, mobile me Screen lock Pattren / Password bhul jana,Coustom Rom/stock Rom install karna,mobile ko flash karna, mobile ko reset (Format / Hardreset) karna etc. Dosto mobile me istrah ka samasya aye to hum sabse pehle recovery mode me jake mobile ki cache file ko delete kar dete hai jisko hum mobile hardreset / formatt bolte hai.  Recovery Mode Ka Use- 1. Mobile ki harddrive me koi samasya aye jaise apka  mobile harddrive(Internal storage) 8gb/16gb ka hai aur ap usme 1/2 film ya 2/4 film rakhe hai YA gana videos sab kuch mila kar 2gb download ya 4gb download kiye hai to itne me apka hdd full ho gaya hai tab Recovery mode me jake partition ko clear kardete hai isse hdd format ho jata hai aur hdd ka samasya solve hojata hai. 2.Ya mobile data on na ho aur Inernet chalu na ho to hum Recovery mode me jake Cache file  ko delete kar dete hai. 3. Ya mobile me kisi trah ka Password chahe wo Pin ho ya Pattren bhul jate hai to recovery mode me jake cache file ko delete kardete hai. 4. To in upar likha gaya sabhi karano/samsya ko solve karne ke liye sabse pehle hum mobile ki Recovery mode me jake cahe file ko delete/wipe karte hain yani ke hardreset karte hai(Cahe file ko delete karna hi Hardreset ya formatt/Reset karna kehlata hai )

Note:- Dosto upar likha gaya sabhi karano/samasyao ke liye hum ya koi bhi machanic sabse pehle Recovery mode ke jariye Hardreset karke dekhta hai. Sahi ho gaya to thik hai nahi to uske bad stock rom se flash karta hai . iske bad bhi sahi na hoto ye Hardwere samandhit foult ho ta hai to hame hardwere yani ke mobile ke motherboard ko check karna hota hai ke foult kaha se hai Dosto agar ap Mobile Reapairing fild me naye hai to ap ko samajh nahi ayega ke actualy  foult kaha se hota hai aur apko aa sara tarika jo maine in Artical me Writing kiya hai isko flow karna padta hai. Lekin jo 2/4 years se kam kar rahe hai unko expreanc ho jata hai aur sidha karan dekh kar hi samajh jata hai ke foult Hardwere ki hai. Kuch karan jo maine khud hi apna expreance se sikha hai Camera Eror aaye to Softwere ki samasya hai hardreset/flash karne se Camera Eror ka samasya solve ho jata hai. Agar Camera Opened faild aaye to Ye Hardwere ki samasya hai iske liye apko mobile khol ke camera ko kholiye aur camera layer ko rul(pencil) color ko mitane wala robat se ghisiye aur camera connector ko cleaner se clean kare to solve ho jata hai (in case me camera releted components kharab hone ki wajah se bhi ye foult ata hai) Data on na hoto ye Settings/Softwere ka foult hota hai iske liye hum setting me jake data ko Roaming karlete hai aur APN setting(Access Point name ) me jake Restore to defoult kar dete hai to ye samasya solve ho jata hai aur nahi to mobile ko hardreset / Flash (Softwere) karte hai Password bhul jaye to hardreset karne se solve hojata hai Mobile hang hota hai to ye apke internal storage full hojata hai iske liye hota hai iske liye coustomer ko suggest kare ke o sirf main apps jo unka kam ata hai unko hi install rakhe baki faltu apps ko uninsttal karde nahi to jyda ram aur hdd wala/behtar proccesor ke sath ek mobile le le. Aur dhyan de ke apke mobile me jyda use hone wale application Facebook, Xender, Mxplayer, Whatsap, jaise aur application ki size badhti application ki cache file o ki karan badti jati hai to inke liye app manager me jake in sabhi apps ki cache ko clear kare & nahi to sidha hardreset ya Flash kare solve ho jayega



Android Recover mode
"Jarur Padhe"What is cache file cache file kya hai Cache file ka matlab mobile me hum jab koi settings changes karte hai. Jaise naya mobile kharid ne ke bad mobile ki default setting hume achhi nahi lagti hai to hum apne hisab se wallpear,password,brightnes,lock time,aur others settings ko change kar dete hai tabh mobile os in sabhi settings ko cachefile me save karleta hai aur hum jab oh cache file ko Recovery mode ke jariye delete kar dete hai to changes kiya gaya sara settings Remove ho jata hai aur Mobile ki sade appluication bhi delete ho jata hai. phir mobile defoult settings yani ke pehle jaise me yani ke naya phone jaise settings me ajata hai.

Recovery mode me kaise jaye kisi bhi phone me
Android Recover key
Android Recover mode

Recovery mode me jane ke liye Hum volume up,down key aur power key ko hold karke recovery mode me ja sakte hai yeh tarika bibhinna mobile me bibhinna tarah ka hota hain jaise koi mobile me Volume up+Power dono key ko ek sath 7-8 sec press karke rakhne se ajata hai.Ya koi mobile me Volume UP+Home+Power in sabhi key ek sath 7-8 sec press karke rakhne se recovery mode ajata hai.Ya koi mobile me Volume UP+Home+Power in sabhi key ko 4-5 sec press karne ke bad power key ko chhor de aur Volume UP+Home key press karke hi  rakhiye.Ya koi mobile me Volume UP+Home+Power in sabhi key ko 4-5 sec press karne ke bad Volume UP+Home key in dono key ko chhor dena hai aur Power key press karke hi rakhna hai to recovery mode ajata hai ya kisi kisi mobile Volume Down+Power key ko press karke rakhne se recovery mode ajata hai  to dosto istrah se ap ko har step flow karna hai phir chahe koi bhi mobile ho ap recovery mode me ja saktehai  to try it now for any android mobile for go to the recovery mode 
Thank You for read this artical



Karbonn k9 microphone solution in hindi step by step with picture

Karbonn k9 microphone solution in hindi step by step with picture


Dosto ek bat dhain de achchhe se samajh ne ke liye pura artical ko padhe nahi to samajh nahi paoge read This artical completly for your better knowledge. Aur ha main ek mobile machanic hu aur main jo kuch janta hu wohi likhta hu. Jo kuch bhi likhta hu pehle main try karta hu achchhese janch ta hu uske bad hi blog likh kar post karta hu

Dosto Microphone ka matlab ap samajh hi gaye honge. lekin mai phir bhi bata deta hu. Microphone mobile device ka ek component hai. Jiske jariye hamari (apki ) Awaz ko capture kiya jata hai. Aur ohi awaz ko TX signal ke jariye Transfer kiya jata hai . Tab jake dusra admi oh awaz ko sun pata hai. Lekin microphone agar sahi na ho to apki awaz ko capture nahi kar payega aur  jab koi awaz capture nahi hoga to TX dusre user(inshan ko ) koi data  send nahi kar payega (matlab usko koi awaz sunai nahi dega) (apka microphone kharab hone se ap ka koi bhi data (awaz) dusre admi tak nahi pahuchta matlab us admi ko apki koi awaz sunai nahi dega) (Lekin agar apka microphone sahi hai phir bhi dusre user(dusre inshan) ko apki awaz sunai nahi deta hai to. iska matlab hai ki us dusre user (dusre inshan) ka EAR speaker kharab hai issi ,liye usko  kuch sunai nahi deta hai )
Micro phone repair karne ka tarika ====================
Agar koi coustomer apke pas ake yeh sawal kare????
Q??bhai sahab jab mai apna mobile se kisi aur ke sath bat karta hun ?  To mera awaz us admi ko kam  sunai deta hai ya kati kati si awaz sunai deta hai (matlab kabhi awaz jati hai to kabhi awaz nahi jata hai)??
Answ; Aisa koi sawal rahega to ap usse pochna ke ap jis kisi bhi inshan ke sath bat karte hai sabhi ko kam sunai deta hai aur kati kati awazj jati hai ya sirf ek admi ko hi kam sunai deta hai
Agar sabhi admi ko kam sunai de aur kati kati awaz jata ho to Microphonbe ka problem hoga Agar ek admi ko sunai de to us admi ka hi mobile ka EAR speaker kharab hoga coustomer ka Microphone nahi Agar oh kuch na bol sake to ap uske mobile se apna number pe call kijiye aur check kare Sab thik hai to ap ek aur dusra mobile pe call karke check kare is bar bhi thik hai to Ap coustomer ko kahiyega ke apka mobile thik hai. Jaha ap call kar rahe the waha ka Network aur nahi to us insan ka mobile me kharabi hai Aur agar mic check karne ke bad apko bhi foult mil raha hai to mic ko change ya resolde kar de (mic jahame atka rehta hai waha me ek chhota sa ched rehta hai us me dhul jam ne ki karan se bhi awazdusre user ko kam sunai deti hai isi liye brush mic sifter ko saf karde

Karbonn k9 microphone soliution
1.sabse pehle  check kare loose conection ki wajhai se mic work nahi karta hai iske liye soldering kare 2.Nahi to mic ko badal ke naya microphone laga de. 3.microphone me kahi dast to nahi par gaya hai check kare dast hai to tooth brush se saf kare 4.microphone ki awaz capture karne ke liye mobile ka chessege(body) me mic holder ke samne ek holl (chhed) hai usme kahi dhul to nahi jam gaya hai check kare dhul jama hua hai to twizzer se saf kare niche picture me dekhe
Karbonn k9 mobile microphone reapair soliution picture 1


Q?2bhai sahab jab mai apna mobile se kisi aur ke sath bat karta hun ? to mera awaz usko sunai nahio deta hai jabki uska awaz mai ispasta sun pata hu??
Answ; aisa koi sawal rahega to ap uske mobile se apna number pe call kare aur check kare apko awaz sunai deta hai ya nahi
sunai de to thik hai kuch nahi hua agar sunai na de to ye step flow kare sabse pehle check kare microphone ke wire open (cut) to nahi hua hai agar open hota hai to uiski soldering kare wire cut nahi hua to microphone ko badle. looseconnection ke wajha se bhi mic work nahi karta hai iske liye bhi soldering karke check karle Agare microphone badal kar bhi na hoto microphone ke pas jo component hai uska track line mic tips se check kare chitranusar aur jumper kare
Karbonn k9 mobile microphone reapair soliution microphone  ke tips se uske as pas ka component ka track line check  kare
Track line sahi hai phirbhi work nahi kar raha hai to mic ke tips ke pas jo component hai usse  cpu tak jo jo mic ki component hai uska track line check chitranusar aur jumper kare
Karbonn k9 mobile microphone reapair soliution microphone  ke tips ke us pas ka component ka track line sahi hai to component  se ic ke us pas ka  component  ka track  line check  kare
Cpu component ka track line sahi hai phir bhi work nahi karraha haito is ic ko reball kare ya badle badle niche picture me dekhiye
Karbonn k9 mobile microphone reapair soliution microphone  ke tips ke us pas ka component ka track line sahi hai aur ic ke us pas ke component  ka bhi track line sahi hai to phir bhi mic workna kare to ic ko reball tatha badal de


karbonn k9 mobile ki microphone ki curcuite
What is Factory Reset Protection (FRP) in hindi

What is Factory Reset Protection (FRP) in hindi

What is Factory  Reset Protection (FRP Lock) ?

Aj hum janenge tatha sikhenge ke FRP yani ke Google account lock kya hai 
What is frp (Factory Reset Protection) / Google account lock in hindi

Dosto ye hai ARNInfo.blogspot.com you tech Mobile Repairing, Internet & Sociel, Computer & android Tips & Tricks an others technology information ke bare me. Main jo kuch bhi janta hu jo maine kudh particaly try kiya hai usko hi main is blog me post karta hu aur apko batane tatha sikhane ki kosis karta hu. "Achchhe se samajh ne ke liye har blog ko pura padhe"

Frp lock ya google account lock kya hai
Dosto frp ka fullform hai (Factory  Reset Protection) Hum frp ko janne se pehle kuch bate jo jaruri hai  o jan lete hai.
Frp lock google account lock

Introduction to Google :- Google ek bari company hai aur ajkal to har koi google ke bare me janta hai. ya ap ye keh sakte hai ke ajkal har admi ka din google se hi suru hota hai.
android google account lock
to google ne hi Android OS (Oparating System) ka nirman kiya aur mobile technology ki duniya hi badal di abhi ke jitne bhi mobile companya hai oh sab android os ka hi istemal karte hai. Android os bahut hi lokpriya hai kiyn ke ise  use karna bahut simple (Asan) hota hai. 


Google company
Jab Android os bana uske bad hi google ne ek ke bad ek android verision devlope karta gaya aur security update bhi deta raha. to frp bhi
Android ka ek naya security 
update hai

Ab hum frp ke bare me janenge ye Android devices me ek naya security features hai jisko Google ne Developed kiya hai ye security features Latest Android devices like samsung, htc, sony, honor, gionee etc… me Marshmallow & Nougat and version ke sath rehta  hai. 

frp security lock ka matlab factory reset protection aur factory reset ka matlab mobile ko formatt / hardreset / softwere karna hota hai.  ke jab hum kisi mobile ko koi samasya ke liye hardreset ya softwere karte hai to oh mobile me frp lock yani ke google account lock lag jata hai. hardreset karne ke bad jo setup complete  karna hota hai frp ke karan oh setup complete nahi ho pata. tab hume is frp / google account lock ko unlock karne ke liye device me device owner ka gmail id or password se sign in karna padta hai.

device owner ka gmail id or password matlab oh gmail id jo mobile ko hardreset / softwere karne se pehle device me sign in tha

frp security ka faida :- frp security ka faida ye hai ke agar apka mobile kho jaye ya chori ho jaye to koi aur apka mobile ko hardreset / softwere karne ke bad bhi use nahi kar payega

frp security ka nuksan :- frp security ka nuksan ye hai ke agar ap kisi karan se apke mobile ko hardreset / softwere karte hai to apko bahut paresani hoti hai

Note :- Dosto ap jab market se naya mobile kharid ke usme (mobile me auto sync on rakhiyega) google, facebook aur har trah ka soicel account banate hai ya old account ko us device me sign in kardete ho to dosto ek bat yad rakhiye ga ke sabse pehle jo google account ke sath ap apne device ko sign in karte hai us ka id aur password yad rakhiyega kiyn ke jab ap kabhi bhi mobile ko kisi samasya ke liye hardreset krenge aur setup complete karenge tab apko is google account ki id aur password ka jarurat parega


 Thank you for read this articale 
Dosto ye articale agar apko achha laga ho to like or share jarur kijiye and is trah ke aur bhi articale ap read karna chahte hai to is blog ko subscribe / follow kare 

Others Link
How to hard reset any samsung mobile in hindi
Samsung z2 hardreset in hindi
Oppo a37 hardreset in hindi with picture just 2 minute
Mi 2014818 (Redmi 2) hardreset in hindi
Karbonn k9 microphone solution in hindi step by step with picture
Android mobile me recovery mode & hardreset kya hota hai
Zen X5 mobile ki microphone samandhit fault finding
How to use soldering Iron for professionally reapair a mobile