Check Internet speed in computer don't go any website hindi

Check Internet speed in computer don't go any website hindi

Check Internet speed from computer don't go any website hindi 

Aj hum janenge tatha sikhenge ke bina kisi website me jaye begair kaise apna Internet speed check kare

Dosto ye hai ARNInfo.blogspot.com you tech Mobile Repairing, Internet & Sociel, Computer & android Tips & Tricks an others technology information ke bare me. Main jo kuch bhi janta hu jo maine kudh particaly try kiya hai usko hi main is blog me post karta hu aur apko batane tatha sikhane ki kosis karta hu. "Achchhe se samajh ne ke liye har blog ko pura padhe"

Hello friends my name is Azizur Rahaman. I am founder of this blog. So aj main aplogo ko batane tatha sikhane wala hu ke bina kisi website me jaye begair kaise apna Internet speed check kare. owaise to hum kisi bhi website me jake asani se Speed test kar sakte hai ( Ookla ek achha website hai Internet  speedtest ke liye) lekin o one time test hota hai matlab ke ek bar check kiya to 10mbps speed hai lekin phir 1hour bad kitna hai oh check karne ke liye hume phir se website visit karna hoga. lekin mai jo tarika batane wala hu usme apko bar bar refresh karne ki jarurat nahi hai kab kitna speed hai oh automaticaly dekh payenge kuch karne ki jarurat nahi hai. and apko koi softwere ya application download karne ki jarurat nahi ye apke windows me hi rehta hai chaliye dekh lete hai kaise manualy internet speed check karte hai

      What is Internet speed hindi 

Agar apke man me sawal hai What is internet speed internet speed ka matlab kiya hai to iska matlab hai gati yani jo time ke upar nirvar hai matlab ke hum jab kisi website se koi file jo ki kahi aur country me kisi server me hai use download karne jate hai to download matlab oh file uss server se mere computer me transfer hota hai yani ke mere computer me oh file a jayega usi time me internet speed karya karta hai ke agar manlijiye ke oh file ki size 1gb ka ha aur jaldi downlaod ho jata hai to iska matlab internet speed  jyda hai aur der se download hota hai to internet speed kam hai. koi bhi file ko internet se download karne ka time internet speed and uss file ka size tai karta hai.
What is my internet speed

      How to check Internet speed 

Apne computer me hi internet speed check kare 
  Step 1 :-  Sabse pehle apne lapto ya computer ke keyboard me windows button ko press kijiye "niche picture me dekhe"
Test my net, speedtest.net, speed test, Internet speed test, my net speedtest

  Step 2 :-  windows button ko press karne ke bad task manager type kijye and enter press  kijiye to Task manger open ho jayega "niche picture me dekhe"
Mera boardband ka internet speed kitna hai

what is my isp speed


  Step 3 :-  Task manger open hone ke bad Peformance me click kijiye "niche picture me dekhe" 
task manager ke jariye internet speed test


  Step 4 :-  Agar Modem ya boardband ki internet speed chek karna ho to Ethernet me click kijiye "niche picture me dekhe" 
Speed test by ookla


  Step 5 :-  And agar Wi-Fi ki internet speed check karna hai to Wi-Fi option ko click kare "niche picture me dekhe"
Internet speed test from my computer

Thank you for read this articale agar apko ye articale achha laga ho and ap kuch chije janna ya sikhna chahte hai to mujhe bataye and is blog ko blogger feed, facebook, gmail, twitter, insta gram me follow kijiye

How to flash android mobile without softwere box in hindi

How to flash android mobile without softwere box in hindi

Flash android device without box in hindi

Aj hum janenge tatha sikhenge ke kisi bhi android mobile ko kistrah flash (format / softwere / rom download ) karte hai oh bhhi bina kisi box use kiye

Dosto ye hai ARNInfo.blogspot.com you tech Mobile Repairing, Internet & Sociel, Computer & android Tips & Tricks an others technology information ke bare me. Main jo kuch bhi janta hu jo maine kudh particaly try kiya hai usko hi main is blog me post karta hu aur apko batane tatha sikhane ki kosis karta hu. "Achchhe se samajh ne ke liye har blog ko pura padhe"

Hello friends my name is Azizur Rahaman. I am founder of this blog. So aj main aplogo ko batane tatha sikhane wala hu ke kisi bhi android mobile ko kistrah flash karte hai bina kisi box use kiye. yani ki ab hum bina kisi box ke hi mobile ko flash kar sakte hai jise village language me softwere dalna kehte hai.
   Some Information on technology :-  Technology ne ab itni tarakki kar li hai ke sab kuch ab advance hota ja raha hai har koi technology par hi ummid rakhta hai aur dheere dheere har cheez technology ke jariye aur bhi behtar aur subhida janak ho raha hai yani ki hum sidha basha me kahe to duniya ab digital hai. aur in sabhi ko behtar aur subhidha janak aur duniya digital hone ka ek hi karan hai INTERNET  
To pehle hum mobile ko flash karne ke liye market se alag alag company ke mobile ke liye ya alag alag cpu ke hisab flash / softwere box kharid te the jiske liye hume har ek box ke 5k se 12k tak dena padta tha. Lekin ab hume box kharid ne ki jarurat nahi hai ye to nahi keh sakte hai kiyn ke box se flash karna thora asan hota hai. Lekin tools use karke flash karne se thora dimag aur time ki jarurat padti hai hume ye dhundna padta hai ke konsa mobile ke liye konsa tools use kiya jaye and konsa mobile me konse company ka cpu hai uske hisab se driver choose karna etc
bina kisi box ke softwere kaise marte hai

Lekin agar ap pehle pehle tools ke jariye mobile flash kar rahe hai to thora paresani hogi jaise tools dhundna driver dhundna stock rom dhundha etc. And agar sab kuch dhund kar flash karne jaoge aur flash nahi hua to hosla tut jata hai internet me tools rom file dhunda muskil ho jata hai ap ko jyda pata nahi hota hai ke konse tools konsa kam ayega tools kam karega ya nahi ye galat tool hai ye sahi tools hai apko samajh nahi ayega  lekin dheere dheere jab ap practice karte hai to sabh asan hone lagta hai. Jaise kabhi tool download kiya rom sahi driver sahi hai phir bhi mobile flash nahi hota hai to ye bhi ek practice hi hai ke ap ye to samajh paye ke ap galat tools use kar rahe the ya ap jisbhi website se rom, tools, ya driver download kar rahe hai oh sab bekar hai yani ki duplicate site hai fake hai to ap us site ko chhor ke dusra koi site se download karte hai etc. is trah practice karte karte  jab adat par jati hai to koi paresani nahi aur ye sare tools driver rom and etc etc sare tools internet me hi available hai.

      Tools ke jariye android mobile Flash 

Tools  ke jariye mobile ko flash karne ke liye 4 chizo ki jarurat padti hai ek USB Cable,  Stock rom, Flashing tools, driver
Tools ke jariye mobile flashing two typse hote hai 1. Mobile Based , 2. CPU Based ,
   1. Mobile Based :-  Aisa tools jo ki mobile ki company anusar banayi jati hai matlab ki jo mobile me koi bhi company ka CPU ho ( jaise mtk, spd, snpdrgn, arm, exynox, intel, amd etc etc ) Flash ek hi tools se hogi.
Exampale:-  Odin Tools yeh samsung mobile ki flasing tools hai chahe koi bhi samsung mobile ho is tools ke jariye flash hogi
   2. CPU Based :-  Aisa tools jo ki CPU ke adhar par bani hoti hai yani mobile ki CPU ko tools support karta hai to koi bhi mobile ho flash kiya ja sakta hai and tools ke sath cpu match na ho to flash nahi kar sakte hai 
Exampale:- SP Flash tool jo mobile me mtk cpu hai oh ye tool se flash hota hai
SPD download jo mobile me SPD cpu hai usko ye tool se flash kiya jata hai 
Note :- manlijiye ke karbonn ka 2 mobile hai first me mtk and 2nd me spd cpu hai to ap agar dono phone ko hi agar sp tool se flash karna chahe to nahi hoga kiyn ke inme cpu alag alag company ka hai. And manlijiye ke 2 mobile hai ek Karbonn aur Intex  2 mobile me hi mtk ka cpu hai to dono hi phone sp tool se flash hoga aur agar ek mtk aur ek me spd to karbonn ko sp tool se aur intex ko spd download tools se flash karna hoga 

      What is Driver for flash android mobile  

Driver ka matlab lag bhag hum sabhi jante hai chalana mobile ko flashing karne ke liye computer me jo driver install karte hai oh driver mobile ko control karta hai chalata hai rom file ko computer se mobile me transfer karta hai aur oh rom install hota hai aur ho gaya mobile flash

Mobile ko Flash karne ke liye Driver 4 typse hote hai USB, ADB, CDC, VCOM ye driver do format me available  hai .exe, .inf
driver mobile and cpu dono ke adhar par banayi jati hai ke mobile me koi bhi cpu ho bas ise install karte hi device tools ke sath connect ho jayega is ka exampale hai Samsung And  dusra ( cpu ) chahe koi bhi mobile ho agar cpu match karti hai to device tools ke sath connet ho jayega iska exampale hai mtk cpu wala karbonn mobile sp tools aur mtk driver 
Mobile driver kitne prakar ke hote hai

      What is stock rom for flash android mobile  

Stock rom ek file hai jo ki alag alag mobile ke hisab se ya cpu ke hisab se  alag alag format me avialable hai jaise samsung mobile ke rom ka format hai .md5, .tar.md5, pit Spd cpu wala mobile ka .pac mtk wala ka .scattar and others device ya cpu ka .tar, and etc etc hota hai. Stock rom ko flash file / firmwere file bhi kehte hai. Stock rom me mobile ke Oparating System ki coding hote hai jis stock rom me jaisa coding rahega owaise hi work karega os ke coding mobile ke hardwere anusar kiye jate hai os ke sare coding ko eksath me .md5 ya alag alag extention me convert kiye jate hai aur phir mobile me flash kiye jate hai. stock rom internet me hi milta hai stock rom download karte time ek bat yad rakhiyega ke device and rom ki information match hone chahiye jaise j200G and j200H mobile hai to ap ko j200G flash karna hai aur ap internet se j200H ka flash file use kar rahe hai to ye nahi chalega j200G ka hi file download kijiye ye bhi ho sakta hai ke j200G ek android version 5.0 lolipop and j200G android version marshmallow to yad rakhiyega ke apko j200G lolipop me flash karna hai to us hisab se stock rom download kijiye 
Samsung mobile stock rom flash file firmwere file download

Samsung mobile stock rom flash file firmwere file download

      How can flash android device  

Mobile ko sabse pehle download mode / fastboot mode me laye uske bad mobile ko tools se connect kijiye uske bad Rom / Firmwere file ko tools me load kijiye and start me click kare flahing start ho jayega
   Another method :-  Firmwere file ko tools me load kijiye uske bad mobile ko switch off karke volume up / volume down press karke mobile ko computer me connect kijiye and automaticaly start flashing 

Thank you for read this articale Agar apko ye articale achchha laga ho to aur agar ap mujhse kuch puchna ya kuch janna chahte hai to comment kijiye ya contact from ke jariye contact kijiye aur is blog ko follow kijiye and facebook page ko like kijiye

   Others Link